sarwar kahuN ke mālik o maulā kahūN tujhe [Translation]

Published on Monday, 23 April 2012 18:54 in Hada'iq e Bakshish - Read 17160 times

Follow Our Social Accounts

fbfbfbfb

Translation by Abu Hasan [sunniport.com]

sarwar kahuN ke mālik o maulā kahūN tujhe
bāgh e khalīl kā gul e zeybā kahūN tujhe

Shall I call you my prince; or shall I say ‘my Lord and Master?
I must say that you are the most beautiful flower in Khalil’s garden

hirmāN nasīb huN tujhe ummīd gah kahūN
jān e murād o kān e tamannā kahūN Tujhe

I am a wretch, among the unfortunate; and you art the treasure of hope
You are the very soul of hope and the wellspring of aspiration

gulzār e quds kā gul e rangīN adā kahūN
darmān e dard e bulbul e shaydā kahūN tujhe

You are the most colorful flower from a blessed and hallowed garden
You are the comfort to the pain of the yearning nightingale

subh e waTan pe shām e gharībāN ko dūN sharaf
beykas nawāz geysuoN wālā kahūN Tujhe

Shall I favor the night of a stranger upon the day in his own land,
I hail thee as the one with kind and generous, bestowing hair.

Allāh re, teyre jism e munawwar ki tābisheN
ay jān e jāN maiN jān e tajallā kahūN tujhe

By Allāh! the radiance of your lightsome body,
O the life of my life! thou art the life of light!

bey dāgh lālah yā qamar e bey kalaf kahūN
bey khār gulban e chaman āra kahūN Tujhe

You are the spotless tulip, the unstained moon
A thornless flower, the pride and glory of the garden

mujrim huN apne áfw ka sāmāN karūN shaha
yánī shafīy roz e jazā kā kahūN tujhe

I am a sinner and I must make provisions for my salvation,
So, I hail thee as my intercessor on Judgement day.

is murdah dil ko muzhdah hayāt e abad ka dūN
tāb o tawān e jān e masīhā kahūN Tujhe

Shan’t I give glad tidings of an eternal life to this lifeless heart -
You are the strength, the vigor and soul of the reviver, the messiah.

terey to wasf áyb e tanāhī se haiN barī
hayrān huN mere shāh maiN kya kya kahūN Tujhe

Your attributes are free from every flaw,
I am perplexed my Master! What shall I call thee?

kah legi sab kuch unke sana khwān ki khāmoshi
chup ho rahā hai kah ke maiN kya kya kahūN Tujhe

The speechlessness of his admirer will tell all -
I keep quiet thus, after having said: ‘How can I describe thee?’

lekin raza ne khatm e sukhan is pe kardiyā
khāliq ka bandah khalq ka āqā kahūN tujhe

Yet, Raza ends his speech by saying this:
You are the servant of the Creator, and the Lord of the creation 

Read 17159 times