tū sham é risālat hai aálam tera parwāna

Published on Friday, 20 April 2012 15:09 in Islamic Personalities - Read 3308 times

Follow Our Social Accounts

fbfbfbfb

tū sham é risālat hai aálam tera parwāna
tū maahe nabuwwat hai ay jalwaé jānā-na

jo saaqī e kauṣar ke chehray se niqāb uTThay,
har dil banay meh-khāna har aankh ho pemānah

dil apna chamak uTThay īmān kee talát se,
kar ankheiN bhī nūrānī ay jalwaé jānā-na

sar shaar mujhay kar de ik jaam e labā lab se,
ta-ḥashr rahay sāqī ābād yeh may-khāna

us darr kī huzūrī hee ísiyāN kī dawā tehrī,
hai zehar má’āsī ka, Tayba hee shifā khāna

har phool maiN boo terī, har shamá maiN zuu terī,
bulbul hai terā bulbul, parwana hai parwana

peetay haiN teray darr ka, khaatay haiN teray darr ka,
paanī hai tera paanī, daanah hai terā daanah

kyūN zulf e muánbar se koochay na mehak uTThayN,
jab panjaé qudrat hai zulfoN ka teray shana

har aarzū bar aaye, sab ḥasrateiN pūrī hauN,
woh kaan zara dhar kar, sunlay mera afsānah

gir-par ke yahāN puhancha, marr-marr ke issay pāya,
chootay na Ilāhī ab, sang e darr e jānā-na

woh kehtay na keĥtay kuch, woh kartay na kartay kuch,
ae kaash woh sun letay, mujh se mera afsānah

aankhoN maiN merī, tū aa, aur dil maiN mere bas-ja,
dil shaad mujhay farma ae jalwaé jānā-na

thay pāóoN maiN bekhud ke chaalay tu chala sarr se,
khushyār hai deewana khushyār hai deewana

[dunya maiN mujhay apnā, tum ne tu banāya hai,
maḥshar maiN bhī keh dena, yeh ĥai merā deewāna]

Sarkār ke jalwoN se, roshan hai dil-e noorī, 
ta-ḥashr rahay roshan, noorī ka ye kāshānah 

Read 3307 times